wo dushman ho gaya achchha hua hai
ye lamha dil pe ab likkha hua hai
magar sach hai ki wo bahka hua hai
magar ai dil wo kyun bahka hua hai
balaen le rahe the log sare
magar bachcha hai phir sahma hua hai
bura lagta nahin ab koi kuchh bhi
ki hum ne sab hi kuchh dekha hua hai
khaDi hun dhup mein suraj sambhaale
mera saya baDa phaila hua hai
meri aankhon pe tum ab hath rakhna
mere aage koi Thahra hua hai
wo yaad aaya to dekha main ne ye bhi
andhera chaar-su phaila hua hai
meri aankhon mein lagta hai ki ab tak
wahi aansu wahin Thahra hua hai
muqaddar mere hathon mein hai 'kausar'
mere hathon pe ye likkha hua hai
Ghazal
Wo dushman ho gaya achchha hua hai
Sayeda Kausar Manawwar Shaikhpuri