wo dushman-e-jaan jaan se pyara bhi kabhi tha
ab kis se kahen koi hamara bhi kabhi tha
utra hai rag-o-pai mein to dil kaT sa gaya hai
ye zahr-e-judai ki gawara bhi kabhi tha
har dost jahan abr-e-gurezan ki tarah hai
ye shahr kabhi shahr hamara bhi kabhi tha
titli ke taaqub mein koi phul sa bachcha
aisa hi koi KHwab hamara bhi kabhi tha
ab agle zamane ke milen log to puchhen
jo haal hamara hai tumhaara bhi kabhi tha
har bazm mein hum ne use afsurda hi dekha
kahte hain 'faraaz' anjuman-ara bhi kabhi tha
Ghazal
Wo dushman-e-jaan jaan se pyara bhi kabhi tha
Ahmad Faraz