wo dukh jo soe hue hain unhen jaga dunga
main aansuon se hamesha tera pata dunga
bujhe labon pe hai boson ki rakh bikhri hui
main is bahaar mein ye rakh bhi uDa dunga
hawa hai tez magar apna dil na maila kar
main is hawa mein tujhe dur tak sada dunga
meri sada pe na barsen agar teri aankhen
to harf o saut ke sare diye bujha dunga
jo ahl-e-hijr mein hoti hai ek did ki rasm
teri talash mein wo rasm bhi uTha dunga
Ghazal
Wo dukh jo soe hue hain unhen jaga dunga
Saqi Faruqi