wo din kab ke bit gae jab dil sapnon se bahalta tha
ghar mein koi aae ki na aae ek diya sa jalta tha
yaad aati hain wo shamen jab rasm-o-rah kisi se thi
hum bechain se hone lagte jun jun ye din Dhalta tha
un galiyon mein ab sunte hain raaten bhi so jati hain
jin galiyon mein hum phirte the jahan wo chand nikalta tha
wo manus salone chehre jaane ab kis haal mein hain
jin ko dekh ke KHak ka zarra zarra aankhen malta tha
koi purana sathi bhi shayad hi hamein pahchan sake
warna ek din shahr-e-wafa mein apna sikka chalta tha
shayad apna pyar hi jhuTa tha warna dastur ye tha
miTTi mein jo bich bhi boya jata tha wo phalta tha
ab ke aise patjhaD aai sukh gai Dali Dali
aise Dhang se koi pauda kab poshak badalta tha
aaj shab-e-gham ras aae to apni baat bhi rah jae
andhiyare ki kokh mein yun to pahle suraj palta tha
duniya bhar ki ram-kahani kis kis Dhang se kah Dali
apni kahne jab baiThe to ek ek lafz pighalta tha
Ghazal
Wo din kab ke bit gae jab dil sapnon se bahalta tha
Khalilur Rahman Azmi