اردو हिंदी
Wo din jo bit gaya phir kisi ne paya nahin | Shaahi Shayari
wo din jo bit gaya phir kisi ne paya nahin

Ghazal

Wo din jo bit gaya phir kisi ne paya nahin

Farasat Rizwi

;

wo din jo bit gaya phir kisi ne paya nahin
kabhi kaman se koi tir ja ke aaya nahin

Thahar gaya hai sar-e-markaz-e-falak suraj
ye waqt wo hai ki diwar mein bhi saya nahin

ye be-dili-e-musalsal ye ranj-e-na-malum
tujhe bhula ke bhi hum ne tujhe bhulaya nahin

asir-e-bazm is aawargi ko kam na samajh
jo apne sath guzara wo din ganwaya nahin

bichhaDne se bhi siwa hai ye gham ki sham-e-firaq
koi sitara in aankhon mein jhilmilaya nahin

bas apna nam wo kaghaz pe likh ke chhoD gaya
main so raha tha to us ne mujhe jagaya nahin

main apne ahd ki takmil tujh se kya karta
ki main ne KHud se bhi wada koi nibhaya nahin

'farasat' ek to kam-himmati mujhi mein thi
phir us nazar ne bhi kuchh hausla baDhaya nahin