wo din gae ki chhup ke sar-e-baam aaenge
aana hua to ab wo sar-e-am aaenge
socha na tha ki abr-e-siyah-posh se kabhi
kaunde tere badan ke mere nam aaenge
us naKHl-e-na-murad se jo pat jhaD gae
andhi KHunuk hawaon ke ab kaam aaenge
aansu sitare os ke dane safed phul
sab mere gham-gusar sar-e-sham aaenge
rakh tu inhen bacha ke kisi aur ke liye
ye qaul ye qarar tere kaam aaenge
lauTe agar safar se kabhi hum to Dar nahin
surat badal ke aaenge be-nam aaenge

Ghazal
Wo din gae ki chhup ke sar-e-baam aaenge
Wazir Agha