wo din bhi the ki in aankhon mein itni hairat thi
tamam bazigaron ko meri zarurat thi
wo baat soch ke main jis ko muddaton jita
bichhaDte waqt batane ki kya zarurat thi
pata nahin ye tamanna-e-qurb kab jagi
mujhe to sirf use sochne ki aadat thi
KHamoshiyon ne pareshan kiya to hoga magar
pukarne ki yahi sirf ek surat thi
gae bhi jaan se aur koi mutmain na hua
ki phir difaa na karne ki hum pe tohmat thi
kahin pe chuk rahe hain ye aaine shayad
nahin to aks mein ab tak meri shabahat thi
Ghazal
Wo din bhi the ki in aankhon mein itni hairat thi
Shariq Kaifi