اردو हिंदी
Wo dekh kar na ruka aur guzar gae hum bhi | Shaahi Shayari
wo dekh kar na ruka aur guzar gae hum bhi

Ghazal

Wo dekh kar na ruka aur guzar gae hum bhi

Shah Nawaz Zaidi

;

wo dekh kar na ruka aur guzar gae hum bhi
dua-e-shab ki tarah be-asar gae hum bhi

samaaton ke jazire talak rasai na thi
wo be-KHabar hi raha be-samar gae hum bhi

yahi kahenge ki ek KHauf tha bulandi ka
kisi ke baam-e-nazar se utar gae hum bhi

mila wo zor-e-tasawwur subuk-irada hue
musibat aane se pahle hi Dar gae hum bhi

shanawari pe kahin harf hi na aa jae
agar tarash ke dariya guzar gae hum bhi

KHuda bhi to kabhi yaksaniyat se uktae
kamal kaun sa hoga jo mar gae hum bhi

sada-e-KHwab to the aise chur chur hue
ghubar ban ke faza mein bikhar gae hum bhi