wo dasht-e-karb-o-bala mein utarne deta nahin
hawa-e-tez mein mujh ko bikharne deta nahin
zamin ko chumna chahun ki wo zamin pe hai
wo aasman se mujh ko utarne deta nahin
jhapakne deta nahin aankh wo shab-e-KHalwat
mere lahu ko wo aaram karne deta nahin
ye kis azab mein us ne phansa diya mujh ko
ki us ka dhyan koi kaam karne deta nahin
kiye hain band 'ata' us ne sare darwaze
kisi bhi rah se mujh ko guzarne deta nahin
Ghazal
Wo dasht-e-karb-o-bala mein utarne deta nahin
Ata ul Haq Qasmi