اردو हिंदी
Wo charagh sa kaf-e-rahguzar mein kaun tha | Shaahi Shayari
wo charagh sa kaf-e-rahguzar mein kaun tha

Ghazal

Wo charagh sa kaf-e-rahguzar mein kaun tha

Sattar Syed

;

wo charagh sa kaf-e-rahguzar mein kaun tha
main kahan tha aur mere intizar mein kaun tha

koi dhul uDti thi raston pe na khul saka
wo ghanim tha ki kumak ghubar mein kaun tha

koi sham halqa-e-dostan mein guzarta
jise ja ke milta main us dayar mein kaun tha

mere KHwab kis ne chura liye sar-e-sham-e-gham
meri umr jis ke thi iKHtiyar mein kaun tha