wo bichhaD kar bhi kahan mujh se juda hota hai
ret par os se ek nam likha hota hai
KHak aankhon se lagai to ye ehsas hua
apni miTTi se har ek shaKHs juDa hota hai
sari duniya ka safar KHwab mein kar Dala hai
koi manzar ho mera dekha hua hota hai
main bhulana bhi nahin chahta is ko lekin
mustaqil zaKHm ka rahna bhi bura hota hai
KHauf mein Dube hue shahr ki qismat hai yahi
muntazir rahta hai har shaKHs ki kya hota hai
Ghazal
Wo bichhaD kar bhi kahan mujhse juda hota hai
Munawwar Rana

