wo bhi kya din the ki jab us ka mera yarana tha
aap se begana wo tha KHud se main begana tha
rabt-o-zabt-e-bahami ke hae wo raaz-o-niyaz
aashiqana husn tha aur ishq mashuqana tha
main agar gul tha to wo tha bulbul-e-shaida mera
aur agar wo shama tha to is ka main parwana tha
wo kabhi diwana tha mere liye laila kabhi
main kabhi us ke liye laila kabhi diwana tha
us ko tha didar hasil mujh ko nazzara nasib
mere us ke darmiyan ek jalwa-e-jaanana tha
mere kufr-e-ishq mein thi ek imani ada
us ke kafir husn mein ek ishwa-e-turkana tha
sajid-o-masjud hum baham the hum donon ka dil
kabe ka kaba tha aur but-KHane ka but-KHana tha
mere ashk-e-shauq-e-paiham mein thi us ki dastan
us ke andaz-e-tabassum mein mera afsana tha
jhum bhi uTThi udhar kaif-e-tarb se ruh-e-naz
aur idhar honTon hi par mere abhi paimana tha
hae wo shahba-e-zulf-o-kakul-o-gesu ki jab
aaftab-e-subh bhi ek sham-e-ishrat-KHana tha
shamil-e-anfas the naghmat-e-aish-o-imbisat
zindagi ke saz ka har zer-o-bam shahana tha
aankh se dil mein sama jate the dil se ruh mein
zindagi-e-shauq ka har haal betabana tha
hae wo mai-KHwari-e-baham ka aalam aah jab
ehtimam-e-mai baghair-e-shisha-o-paimana tha
jab milin aankhon se aankhen jab mile honTon se honT
har nazar paimana thi aur har-nafas mai-KHana tha
uf wo rabt-o-zabt sharm-o-shauq jab ba-hamd-digar
ek jazba mushtarak tha aur bebakana tha
wo taqaddum sharm ka ho ya tajawuz shauq ka
daKHil-e-mustasniyat-e-laghzish-e-mastana tha
uf wo fart-e-shauq jis ka nam tha ranjidagi
aalam-e-ranjidagi kis darja mahbubana tha
barhami par hae wo jurmana-ha-e-jurm-e-shauq
wajh-e-afzuni-e-shauq-e-jurm har jurmana tha
ho rahe the yun basar roz-o-shab umr-e-nashat
mehr-o-mah se ehtimam-e-zinat-e-kashana tha
be-talluq zindagi hone ka tha imkan hi kya
zindagi zulf-e-talluq thi muqaddar shana tha
runuma lekin muqaddar se hua wo ishq ke
jo talawwun husn ki fitrat mein mahbubana tha
husn to hai ek tajalli sham-e-har-mahfil-sifat
wo to kah dega ye ek andaz-e-mashuqana tha
han magar kal ishq ko dekha ki wo shorida-baKHt
baDh chuka tha zindagi mein maut se diwana tha
ja raha tha be-irada be-KHayal-e-samt-o-rah
aur zaban par nala-e-mauzun ye mazlumana tha
chashm hai mahrum-e-surat gosh mayus-e-sada
KHwab tha jo kuchh ki dekha jo suna afsana tha
Ghazal
Wo bhi kya din the ki jab us ka mera yarana tha
Bismil Saeedi

