wo barsat ki shab wo pichhla pahar
andhere ke pahlu mein sunsan ghar
khulenge abhi aur kis kis ke dar
kahan KHatm hoga lahu ka safar
kuchh apne aqaed bhi kamzor the
larazte the sae bhi diwar par
ujale simaTte rahe aankh mein
sitare bikharte rahe farsh par
badan mein pighalti rahi chandni
lahu mein sulagti rahi dopahar
kabhi KHak walon ki baaten bhi sun
kabhi aasmanon se niche utar
qadam ghar mein rakhte hi ghayal hua
gire TuT kar mujh pe diwar-o-dar
Ghazal
Wo barsat ki shab wo pichhla pahar
Adil Mansuri