wo bahki nigahen kya kahiye wo mahki jawani kya kahiye
wo kaif mein Dube lamhon ki ab raat suhani kya kahiye
uljhi hui zulfen KHwab-asar badmast nigahen wajh-e-baqa
duniya se magar imkan-e-shab-e-asrar-o-maani kya kahiye
rudad-e-mohabbat sun sun kar KHud husn ko bhi nind aane lagi
ab aur kahan se laen dil ab aur kahani kya kahiye
jina bhi bahut hi mushkil hai marna bhi koi aasan nahin
allah re kashakash ulfat ki kya ji mein hai Thani kya kahiye
'farhat' ka pata puchhe jo koi kafi hai faqat ye kafi hai
phuTi hui qismat TuTa dil ab aur nishani kya kahiye
Ghazal
Wo bahki nigahen kya kahiye wo mahki jawani kya kahiye
Farhat Kanpuri