اردو हिंदी
Wo aur honge nufus be-dil jo kahkashaen shumarte hain | Shaahi Shayari
wo aur honge nufus be-dil jo kahkashaen shumarte hain

Ghazal

Wo aur honge nufus be-dil jo kahkashaen shumarte hain

Sabir

;

wo aur honge nufus be-dil jo kahkashaen shumarte hain
ye raat hai pure chand ki hum teri mohabbat hisarte hain

baDi mahaarat se us ki sanson mein naghmagi kar rahe hain paida
wo jitna anjaan ban raha hai hum utna us ko nihaarte hain

tumhaari nazron ka hai muqaddar ye jhil ka pur-sukun pani
hum apni aankhon ke canwas par hazar maujen ubhaarte hain

sabhi musafir chalen agar ek ruKH to kya hai maza safar ka
tum apne imkan talash kar lo mujhe parinde pukarte hain

tumhin se 'sabir' hui hai kotahi tirgi ki muhafizat mein
suna nahin tha kabhi ye pahle ki jugnu shab-KHun marte hain