wo aks mujh mein junun-saz raqs karne laga
main aaine ki tarah TuTne bikharne laga
shab-e-alam hai sitaron se ham-kalami hai
isi bahane safar KHair se guzarne laga
main tum se dur hua hun to maslahat hai koi
ye mat samajhna ki mil ke nasha utarne laga
nahin rahi tere naqsh-e-qadam ki bas yahan
ye rasta teri yaadon se ab sanwarne laga

Ghazal
Wo aks mujh mein junun-saz raqs karne laga
Shamshir haidar