wo aks ban ke meri chashm-e-tar mein rahta hai
ajib shaKHs hai pani ke ghar mein rahta hai
wahi sitara shab-e-gham ka ek sitara hai
wo ek sitara jo chashm-e-sahar mein rahta hai
khuli faza ka payami hawa ka basi hai
kahan wo halqa-e-diwar-o-dar mein rahta hai
jo mere honTon pe aae to gungunaun use
wo sher ban ke bayaz-e-nazar mein rahta hai
guzarta waqt mera gham-gusar kya hoga
ye KHud taaqub-e-sham-o-sahar mein rahta hai
mera hi rup hai tu ghaur se agar dekhe
bagula sa jo teri rahguzar mein rahta hai
na jaane kaun hai jis ki talash mein 'bismil'
har ek sans mera ab safar mein rahta hai
Ghazal
Wo aks ban ke meri chashm-e-tar mein rahta hai
Bismil Sabri