اردو हिंदी
Wo agar ab bhi koi ahd nibhana chahe | Shaahi Shayari
wo agar ab bhi koi ahd nibhana chahe

Ghazal

Wo agar ab bhi koi ahd nibhana chahe

Fariha Naqvi

;

wo agar ab bhi koi ahd nibhana chahe
dil ka darwaza khula hai jo wo aana chahe

ain mumkin hai use mujh se mohabbat hi na ho
dil bahar-taur use apna banana chahe

din guzar jate hain qurbat ke nae rangon se
raat par raat hai wo KHwab purana chahe

ek nazar dekh mujhe!! meri ibaadat ko dekh!!
bhul paega agar mujh ko bhulana chahe

wo KHuda hai to bhala us se shikayat kaisi?
muqtadir hai wo sitam mujh pe jo Dhana chahe

KHun umaD aaya ibarat mein, waraq chiKH uThe
main ne wahshat mein tere KHat jo jalana chahe

noch Dalungi use ab ke yahi socha hai
gar meri aankh koi KHwab sajaana chahe