wo abr jo mai-KHwar ki turbat pe na barse
kah do ki KHudara kabhi guzre na idhar se
itna to hua aah shab-e-gham ke asar se
fitrat ka jigar phuT baha chashm-e-sahar se
ummid ne bhi yas ke murdon ko pukara
aai koi aawaz na dil se na jigar se
naseh ko bulao mera iman sambhaale
phir dekh liya us ne usi ek nazar se
KHurshid-e-qayamat ki ada dekh raha hun
milti hui surat hai mere dagh-e-jigar se
ek ek qadam par hai jahan KHanda-e-taqdir
tadbir guzarti hai usi rahguzar se
ai KHanda-e-gulshan ye hai anjam-e-shab-e-aish
gul rote hain na munh Dhanp ke daman-e-sahar se
kuchh shan-e-karimi ne is andaz se taula
bhaari hi raha dida-e-tar daman-e-tar se
KHatre mein hain kuchh din se 'hafiz' ahl-e-do-alam
har shab mere nalon ki laDai hai asar se
Ghazal
Wo abr jo mai-KHwar ki turbat pe na barse
Hafeez Jalandhari