wo aarzu ki dilon ko udas chhoD gai
meri zaban pe suKHan ki miThas chhoD gai
likhi gai hai meri subh ke muqaddar mein
wo raushni jo kiran ka libas chhoD gai
uThi thi mauj jo mahtab ke kinare se
zamin ke gird falak ki asas chhoD gai
ye kis maqam-e-tamanna se be-KHudi guzri
ye kis ka nam pas-e-iltimas chhoD gai
charagh-e-zist se utri thi ek harf ki lau
jilau mein apni mera iqtibas chhoD gai
guzar gai hai ufuq se sipah-e-shab lekin
jawar-e-subh mein KHauf-o-hiras chhoD gai
ghaTa uThi thi kisi tishnagi ke sahra se
jo qatra qatra samundar ki pyas chhoD gai
meri KHamosh-labi mujh mein raat bhar gunji
sadaen kitni mere aas-pas chhoD gai
ye kis KHayal ki parchhain thi munDeron par
tamam shahr ko mahw-e-qayas chhoD gai
basi jo aa ke zamin mein 'samad' shanaKHt meri
mere badan mein saja kar hawas chhoD gai

Ghazal
Wo aarzu ki dilon ko udas chhoD gai
Samad Ansari