wo aankhen zahr aisa bo gai hain
zaminen zard sahra ho gai hain
andhere gir rahe hain aasman se
faza ki wusaten bhi so gai hain
hamesha ek ja pata hun KHud ko
haden manzil ki shayad kho gai hain
chamak kya ret ki zarron mein hogi
jo sona tha wo maujen dho gai hain
pighalte dekh ke suraj ki garmi
abhi masum kirnen ro gai hain
Ghazal
Wo aankhen zahr aisa bo gai hain
Jalib Nomani