اردو हिंदी
Wo aalamgir jalwa aur husn-e-mustarak tera | Shaahi Shayari
wo aalamgir jalwa aur husn-e-mustarak tera

Ghazal

Wo aalamgir jalwa aur husn-e-mustarak tera

Shad Azimabadi

;

wo aalamgir jalwa aur husn-e-mustarak tera
KHuda jaane in aankhon ko hua kis kis pe shak tera

bata had se siwa hum panw phailaen kidhar jaen
faqat do gaz zamin apni hai aur saton falak tera

kiya ai sone wale rahm subh-e-wasl ne tujh par
ki jun jun khulti hain aankhen miTa jata hai shak tera

bas ab had hai ki ghairon tak ka daman ja ke pakDa hai
Dige kis kis jagah hum ho gaya kis kis pe shak tera

tere naqsh-e-qadam ki gard tak pahunche na wamanda
bahut pichha kiya ai karwan koson talak tera

ghiza-e-ruh hai ai husn tu apni malahat se
har ek ke zaiqe mein Thik hai aab-o-namak tera

agar aankhen salamat hain to kya kya kuchh dikhaega
yahi phaila hua jalwa sama se ta-samak tera

meri ham-dardiyon se ho gai ghairon ko ek ibrat
liya ghabra ke jab jab nam-e-nami be-dhaDak tera

na puchho ishq ne ghairat se kya kya rang badla hai
KHayal aaya hai sath auron ke jab jab mushtarak tera

faqat zahid pe kya mauquf sab ki ral Tapki hai
wo shoKHi wo numu ke din wo chehra be-Dalak tera

bahut tu ne jab apne panw phailae to kya chaara
adab karti rahi ai ashk muddat tak palak tera

abas uljha ke rakkha hai koi insaf bhi aaKHir
umiden sath dengi 'shad' aaKHir kab talak tera