visal-o-hijr ke janjal mein paDa hua hun
mein arsh-e-rau kahan patal mein paDa hua hun
wahi ghuTan, wahi mamul zindagi, wahi gham
kahan main jashn nae sal mein paDa hua hun
yahan se niklun kisi aur ka shikar banun
isi liye to tere jal mein paDa hua hun
gareban chaak, dhuan, jam, hath mein cigarette
shab-e-firaq, ajab haal mein paDa hua hun
pahunch chuka hai zamana zamin se chand tilak
kahan main zulf, nazar, gal mein paDa hua hun
Ghazal
Visal-o-hijr ke janjal mein paDa hua hun
Hashim Raza Jalalpuri