visal ki sarhadon tak aa kar jamal tera palaT gaya hai
wo rang tu ne meri nigahon pe jo bikhera palaT gaya hai
kahan ki zulfen kahan ke baadal siwae tira-nasibon ke
meri nazar ne jise pukara wahi andhera palaT gaya hai
na chhanw karne ko hai wo aanchal na chain lene ko hain wo banhen
musafiron ke qarib aa kar har ek basera palaT gaya hai
mere tasawwur ke raston mein ubhar ke Dubi hazar aahaT
na jaane sham-e-alam se mil kar kahan sawera palaT gaya hai
mila mohabbat ka rog jis ko 'qatil' kahte hain log jis ko
wahi to diwana kar ke teri gali ka phera palaT gaya hai
Ghazal
Visal ki sarhadon tak aa kar jamal tera palaT gaya hai
Qateel Shifai