viran sarae ka diya hai
jo kaun-o-makan mein jal raha hai
ye kaisi bichhaDne ki saza hai
aaine mein chehra rakh gaya hai
KHurshid misal shaKHs kal sham
miTTi ke supurd kar diya hai
tum mar gae hausla tumhaara
zinda hun main ye mera hausla hai
andar bhi is zamin ke raushni ho
miTTi mein charagh rakh diya hai
main kaun sa KHwab dekhta hun
ye kaun se mulk ki faza hai
wo kaun sa hath hai ki jis ne
mujh aag ko KHak se likha hai
rakkha tha KHala mein panw main ne
raste mein sitara aa gaya hai
shayad ki KHuda mein aur mujh mein
ek jast ka aur fasla hai
gardish mein hain kitni kaenaten
bachcha mera panw chal raha hai
Ghazal
Viran sarae ka diya hai
Obaidullah Aleem