اردو हिंदी
Wida karta hai dil satwat-e-rag-e-jaan ko | Shaahi Shayari
wida karta hai dil satwat-e-rag-e-jaan ko

Ghazal

Wida karta hai dil satwat-e-rag-e-jaan ko

Kishwar Naheed

;

widaa karta hai dil satwat-e-rag-e-jaan ko
KHabar karo mere KHwabon ke shab-sulaiman ko

muhit-e-jaan na koi zaiqa na sabza-e-shab
talash karti hai KHushbu kisi gareban ko

mujhe ye fasl-e-KHizan-KHwab kaT lene do
ki phir na nikle koi dusra bayaban ko

lahu ko aankh mein rahne ka zom tha warna
Tapak bhi sakta tha bahla ke dil ke tufan ko

mujhe to gham bhi panah zad hi lage ab to
ki aa nikalti hai hasrat bhi sair-e-mizhgan ko

kisi udu ki murawwat se ab bhi taza hain
wo zaKHm-e-KHwab ki jo DhunDte hain paikan ko

hisab us ki mohabbat ka harf harf karun
jo aa gaya tha meri tishnagi ke saman ko