wasl ne jab meri taKHliq ko zanjir kya
hijr kahne laga main sath hun tu likhta ja
tujh se main jang ka elan bhi kar hi dunga
mere dushman tu mere qad ke barabar to aa
mujh se nadan ki kitaben na samajh pae hain
tu samajhta hai ye samjhenge sahife ai KHuda
Dub kar dard ke dariya mein ai mere hamdam
tujh ko kaise main bataun ki main ne kya paya
ashk bahar to rawan aankh se hota hai nadim
sochta hun ki ye andar main kahan se aaya
Ghazal
Wasl ne jab meri taKHliq ko zanjir kya
Nadeem Gullani