wasl ki shab bhi ada-e-rasm-e-hirman mein raha
subh tak main iltimas-e-shauq-e-pinhan mein raha
mar gae lakhon shahid-e-naz kuchh parwa nahin
wo tamasha-e-hilal-e-id-e-qurban mein raha
kaam apna kar chuki bimari-e-ishq-e-butan
main fareb-e-nusKHa-o-tasir-e-darman mein raha
wah re pas-e-wafa allah ri sharm-e-arzu
har nafas hamrahi-e-umr-e-gurezan mein raha
kya paDhe ashaar 'taslim'-e-jigar-afgar ne
shor-e-tahsin har taraf bazm-e-suKHan-dan mein raha
Ghazal
Wasl ki shab bhi ada-e-rasm-e-hirman mein raha
Amirullah Tasleem