wasl ki rut ho ki furqat ki faza mujh se hai
ishq ki rah mein sab achchha bura mujh se hai
ye haqiqat hai ki tujh se hai mera hona magar
bandagi meri hai so tu bhi KHuda mujh se hai
tu to bas chhoD gaya tha mere sine mein ise
teri furqat ka magar zaKHm hara mujh se hai
mere hi hone se tari hai diwanon pe junun
tere nazdik bhi ye raqs-e-hawa mujh se hai
warna ek tajraba-e-did hi kafi hota
meri hi aankh magar KHaufzada mujh se hai
main ne baKHsha hai tujhe ye gul-e-taza ka shabab
ye nai KHushbuen ye rang naya mujh se hai
mujh se hasil tha tere jism ke dhage ko kapas
kis tarah sochta hai tu ki juda mujh se hai

Ghazal
Wasl ki rut ho ki furqat ki faza mujhse hai
Rahul Jha