waraq waraq ye fasana bikharne wala tha
bacha liya mujhe us ne mein marne wala tha
shagufta phul pareshan hua to gham na karo
ki wo to yun bhi hawa mein bikharne wala tha
main us ko dekh ke phir kuchh na dekh paunga
ye hadisa bhi mujhi par guzarne wala tha
sada-e-sang ne mujh ko bacha liya warna
main is pahaD se Takra ke marne wala tha
main be-qusur hun ye faisla hua warna
main apne jurm ka iqrar karna wala tha
pahaD sina-sipar ho gaya tha mere liye
wagarna mujh mein samundar utarne wala tha
Ghazal
Waraq waraq ye fasana bikharne wala tha
Ehtisham Akhtar