waqt waqt ki baat hai ya dastur hai duniya ka sain
din Dhalte hi baDh jata hai qad se KHud saya sain
DhunDne wale pa leti hain ant samundar ka sain
thah mili nahin jis ki kisi ko dil hai wo dariya sain
manzil-e-ishq mein aise aise hosh-ruba kuchh moD mile
rah dikhane wale ghar ka bhul gae rasta sain
ishq ke tufani dariya mein jo Duba wo par gaya
kachche ghaDe ne beach bhanwar mein kis ka sath diya sain
ye data ki den hai baadal ghir ke samundar par barsa
aur kinare pyasa koi qatre ko tarsa sain
jo tufan aaya tha us ke ab koi aasar nahin
qulzum-e-dard mein dil ka safina kab ka Dub gaya sain
kan mein mere chupke chupke kaun ye kahta hai 'ishqi'
har din duniya wahi purani har shab KHwab naya sain
Ghazal
Waqt waqt ki baat hai ya dastur hai duniya ka sain
Ilyas Ishqi