اردو हिंदी
Waqt se hum gila nahin karte | Shaahi Shayari
waqt se hum gila nahin karte

Ghazal

Waqt se hum gila nahin karte

Ghulam Mohammad Safeer

;

waqt se hum gila nahin karte
kaam koi bura nahin karte

ashk bhi hon ruKH-e-tabassum par
zindagi yun jiya nahin karte

husn walo zara batao na
kyun kisi se wafa nahin karte

kuchh to pate hi honge parwane
be-wajah hi jala nahin karte

dil hai yara koi makan nahin
har kisi ko diya nahin karte

ishq ki ibtida hai tum se agar
mujh pe kyun intiha nahin karte

muskurana to bhul hi jao
ashk bhi ab baha nahin karte

tum ko aasan hai bhula dena
hum magar ye kiya nahin karte

ashk pine ki lat lagi ho jinhen
jam-e-farhat piya nahin karte

jin ke dil mein junun-o-ulfat ho
shauq-e-KHanda rakha nahin karte

mah-e-kaamil ho tum ho aur mein hun
ye nazare dikha nahin karte

main bura hun magar anokha hun
mere jaise mila nahin karte

KHas hoti hain baaten kuchh apni
sab se sab kuchh kaha nahin karte

dard ne sab sikha diya hai 'safir'
warna hum to likha nahin karte