waqt sakin hai main guzar raha hun
main to is aagahi se mar raha hun
bol kar jo mujhe daba raha hai
us ki aawaz se ubhar raha hun
aaina mujh ko dekh kar chup hai
jaane main kis se baat kar raha hun
main ye samjha tha wo Thahar raha hai
we ye samjha tha main Thahar raha hun
ek parinda banaya kaghaz par
aur ab us ke par katar raha hun
us ne wada nahin liya mujh se
aur kahta hai main mukar raha hun
teri taswir na-mukammal hai
main abhi is mein rang bhar raha hun
jo tujhe jaanta nahin 'momin'
wo samajhta hai tujh se Dar raha hun
Ghazal
Waqt sakin hai main guzar raha hun
abdurrahman momin

