waqt raste mein khaDa hai ki nahin
dil se ab puchh KHuda hai ki nahin
sohbat-e-shisha-garan hai inkar
sang aaina bana hai ki nahin
har kiran waqt-e-sahar kahti hai
rauzan-e-dil koi wa hai ki nahin
rang har baat mein bharne walo
qissa kuchh aage baDha hai ki nahin
zindagi jurm bani jati hai
jurm ki koi saza hai ki nahin
dost har aib chhupa lete hain
koi dushman bhi tera hai ki nahin
zaKHm-e-dil manzil-e-jaan tak aae
sang-e-rah sath chala hai ki nahin
kho gae rah ke sannaTe mein
ab koi dil ki sada hai ki nahin
hum tarasne lage bu-e-gul ko
kahin gulshan mein saba hai ki nahin
hukm-e-hakim hai ki KHamosh raho
bolo ab koi gila hai ki nahin
chup to ho jate hain lekin 'baqi'
is mein bhi apna bhala hai ki nahin
Ghazal
Waqt raste mein khaDa hai ki nahin
Baqi Siddiqui