waqt par ishq-e-zuleKHa ka asar lagta hai
aaKHir-e-umr bhi aaghaz-e-safar lagta hai
ye samundar hai magar soKHta-jaan shair ko
kisi majbur ka ek dida-e-tar lagta hai
subh-e-taza hai muqaddar dil-e-mayus Thahar
shajar-e-ummid pe inam-e-samar lagta hai
main zaban-bandi ka ye ahd nahin toDunga
han magar is dil-e-gustaKH se Dar lagta hai
hamein idrak-e-mohabbat to nahin hai lekin
itna malum hai is khel mein sar lagta hai

Ghazal
Waqt par ishq-e-zuleKHa ka asar lagta hai
Naeem Zarrar Ahmad