اردو हिंदी
Waqt ki tah mein utar jaunga | Shaahi Shayari
waqt ki tah mein utar jaunga

Ghazal

Waqt ki tah mein utar jaunga

Jameel Yusuf

;

waqt ki tah mein utar jaunga
main bhi lamha hun guzar jaunga

ab jo nikla hun tere KHwab liye
ta-ba-imkan-e-nazar jaunga

tu har ek shai mein milega mujh ko
tujh ko paunga jidhar jaunga

wo bhi din the ki guman hota tha
tujh se bichhDunga to mar jaunga

tu mera hamdam-o-hamraaz na ban
main to nashsha hun utar jaunga