اردو हिंदी
Waqt ki barf hai har taur pighalne wali | Shaahi Shayari
waqt ki barf hai har taur pighalne wali

Ghazal

Waqt ki barf hai har taur pighalne wali

Zeeshaan sajid

;

waqt ki barf hai har taur pighalne wali
din bhi hai zer-e-safar sham bhi Dhalne wali

ishq sae ki tarah sath chipak jata hai
ye bala to na kisi taur hai Talne wali

hum wo pahiye jo agar sath barabar na chale
ek meter bhi ye gaDi nahin chalne wali

ek dhaDka hai mere dil ko KHabardari ka
ek KHwahish hai mere zehn mein palne wali

zard kah kar nazar-andaz kiya tha jis ko
ab wahi shaKH hui phulne-phalne wali

hai ajab waqt ki holi ki har ek chakkar par
sui chehre pe naya rang hai malne wali

daera toDa to hairat hi dar aai 'zishan'
ab ye hairat nahin andar se nikalne wali