waqt KHush-KHush kaTne ka mashwara dete hue
ro paDa wo aap mujh ko hausla dete hue
us se kab dekhi gai thi mere ruKH ki murdani
pher leta tha wo munh mujh ko dawa dete hue
KHwab-e-be-tabir si sochen mere kis kaam ki
sochta itna to wo dast-e-ata dete hue
be-zabani baKHsh di KHud-ehtisabi ne mujhe
honT sil jate hain duniya ko gila dete hue
apni rah masdud kar dega yahi baDhta hujum
ye na socha har kisi ko rasta dete hue
aap-apne qatl mein shamil tha main maqtul-e-shauq
ye khula mujh par talab ka KHun-baha dete hue
wo hamein jab tak nazar aata raha takte rahe
gili aankhon ukhDe lafzon se dua dete hue
jaane kis dahshat ka saya us ko mohr-e-lab hua
Dar raha hai wo mujhe khul kar sada dete hue
be-aman tha aap lekin moajaza hai ye 'riyaz'
haala-e-shafqat tha us ko aasra dete hue
Ghazal
Waqt KHush-KHush kaTne ka mashwara dete hue
Riaz Majeed