waqt ke har ek naqsh ka mani itna badla badla hoga
mere wahm-o-guman mein kab tha ishq ka manzar aisa hoga
aaj mujhe apni aankhon se us ke qurb ki KHushbu aai
meri nazar se us ne shayad apne-ap ko dekha hoga
lams ke is kore talab mein chand ka pahla aks tumhi ho
kaise nur-jahani sur mein kis kis se wo kahta hoga
subh sunahri kyun hai itni sham mein itni lali kyun hai
waqt ne shayad teri aankh ki shabnam se munh dhoya hoga
aaj main aaine mein apni surat tak pahchan na paya
soch raha hun mujh se ziyaada kaun is shahr mein tanha hoga
chhoD 'faqih' ye honi ka sur anhoni ki tan lagao
honi mein hai koi hunar kya honi ko to hona hoga
Ghazal
Waqt ke har ek naqsh ka mani itna badla badla hoga
Ahmad Faqih