waqt jab karwaTen badalta hai 
fitna-e-hashr sath chalta hai 
mauj-e-gham se hi dil bahalta hai 
ye charagh aandhiyon mein jalta hai 
us ko tufan Dubo nahin sakta 
jo kinaron se bach ke chalta hai 
kis ko malum hai junun-e-hayat 
saya-e-agahi mein palta hai 
un ki mahfil mein chal ba-hosh-e-tamam 
kaun gir kar yahan sambhalta hai 
main karun kyun na us ki qadr 'anwar' 
dil ke sanche mein ashk Dhalta hai
        Ghazal
Waqt jab karwaTen badalta hai
Anwar Sabri

