waqt-e-safar qarib hai bistar sameT lun
bikhra hua hayat ka daftar sameT lun
phir jaane hum milen na milen ek zara ruko
main dil ke aaine mein ye manzar sameT lun
yaron ne jo suluk kiya us ka kya gila
phenke hain doston ne jo patthar sameT lun
kal jaane kaise hon ge kahan honge ghar ke log
aankhon mein ek bar bhara ghar sameT lun
tar-e-nazar bhi gham ki tamazat se KHushk hai
wo pyas hai mile to samundar sameT lun
'ajmal' bhaDak rahi hai zamane mein jitni aag
ji chahta hai sine ke andar sameT lun
Ghazal
Waqt-e-safar qarib hai bistar sameT lun
Ajmal Ajmali