waqt be-rahm hai maqtal ki zaminon jaisa
aur hamdard hai muKHlis ki duaon jaisa
koi manzar nahin barsat ke mausam mein bhi
us ki zulfon se phisalti hui dhupon jaisa
aablon ki tarah rahne na diya ashkon ko
meri palkon ne kiya kaam babulon jaisa
sang-dil hai na farebi na jafakar hai wo
mera mahbub hai masum farishton jaisa
main to insan hun tum jaisa hun Thahro logo
mujh pe ilzam lagao na rasulon jaisa
zehn se mahw hue guzra zamana 'aKHtar'
ek chehra hai magar ab bhi gulabon jaisa
Ghazal
Waqt be-rahm hai maqtal ki zaminon jaisa
Akhtar Shahjahanpuri