wajud-e-ghaib ka irfan TuT jata hai
sarir-e-KHama se wijdan TuT jata hai
jo ho sake to karo aam la-ubaali-pan
KHudi ke bojh se insan TuT jata hai
sunaiye wo latifa har ek jam ke sath
ki ek bund se iman TuT jata hai
sajaane lagta hun jab kuchh hasin yaadon ke phul
mere KHayal ka gul-dan TuT jata hai
to lazmi bhi nahin tolna samundar ka
agar habab ka mizan TuT jata hai
hua jahan bhi tere wahshiyon ka daman chaak
wahin bahaar ka ehsan TuT jata hai
ye daur wo hai 'muzaffar' gunah zaid kare
bakar ki zat pe bohtan TuT jata hai
Ghazal
Wajud-e-ghaib ka irfan TuT jata hai
Muzaffar Hanfi