اردو हिंदी
Wajud ab mera la-fana ho gaya | Shaahi Shayari
wajud ab mera la-fana ho gaya

Ghazal

Wajud ab mera la-fana ho gaya

Sahir dehlavi

;

wajud ab mera la-fana ho gaya
fana ho ke juzw-e-baqa ho gaya

muqaddas hai aalam mein zauq-e-fana
ki uqda do-alam ka wa ho gaya

hua aashkara adam se wajud
likha tha jo taqdir ka ho gaya

na hum the na hangama-e-kaenat
khuli aankh aur KHwab sa ho gaya

haqiqat hua rafta rafta majaz
rasa tale-e-na-rasa ho gaya

tera aastana haram ho ki dair
musawat-e-shah-o-gada ho gaya

na kuchh hosh apna na hai kuchh KHabar
KHuda jaane 'sahir' ko kya ho gaya