wajh-e-qadr-o-qimat-e-dil husn ki tanwir hai
warna ek TuTe hue shishe ki kya tauqir hai
kuchh tabassum zer-e-lab par sharm daman-gir hai
uf ye kis aalam mein khinchwai hui taswir hai
ek nazar dekha jise madhosh-o-be-KHud kar diya
teri kaif-agin nigahon mein ajab tasir hai
kitni dil-kash hain teri taswir ki ranaiyan
lekin ai parda-nashin taswir phir taswir hai
phunk de barq-e-tapan mera qafas bhi phunk de
aashiyan ki bhi to ek bigDi hui taswir hai
lan-tarani kah diya tha tur par jis ne 'shakil'
zarre zarre mein usi ke husn ki taswir hai
Ghazal
Wajh-e-qadr-o-qimat-e-dil husn ki tanwir hai
Shakeel Badayuni