waise to ek dusre ki sab sunte hain
jin ko sunana chahta hun kab sunte hain
ab bhi wahi din raat hain lekin farq ye hai
pahle bola karte the ab sunte hain
shak apni hi zat pe hone lagta hai
apni baaten dusron se jab sunte hain
mahfil mein jin ko sunne ki tab na thi
wo baaten tanhai mein ab sunte hain
jina hum ko waise bhi kab aata tha
badal gae hain jine ke Dhab sunte hain
aankhen chhu kar dekhti hain aawazon ko
kan duhai dete hain lab sunte hain
sunte zarur hain duniya wale bhi 'shahzad'
kahne ki KHwahish na rahe tab sunte hain
Ghazal
Waise to ek dusre ki sab sunte hain
Shahzad Ahmad