اردو हिंदी
Wahshaten kaisi hain KHwabon se ulajhta kya hai | Shaahi Shayari
wahshaten kaisi hain KHwabon se ulajhta kya hai

Ghazal

Wahshaten kaisi hain KHwabon se ulajhta kya hai

Obaidullah Aleem

;

wahshaten kaisi hain KHwabon se ulajhta kya hai
ek duniya hai akeli tu hi tanha kya hai

dad de zarf-e-samaat to karam hai warna
tishnagi hai meri aawaz ki naghma kya hai

bolta hai koi har-an lahu mein mere
par dikhai nahin deta ye tamasha kya hai

jis tamanna mein guzarti hai jawani meri
main ne ab tak nahin jaana wo tamanna kya hai

ye meri ruh ka ehsas hai aankhen kya hain
ye meri zat ka aaina hai chehra kya hai

kash dekho kabhi TuTe hue aainon ko
dil shikasta ho to phir apna paraya kya hai

zindagi ki ai kaDi dhup bacha le mujh ko
pichhe pichhe ye mere maut ka saya kya hai