wahshat se har suKHan mera goya ghazala hai
bu se nasha ho ye wo mai-e-der-sala hai
is aan par nisar karun bazm-e-jam-e-jam
wo mast-e-naz aaj mera ham-piyala hai
begana dekhta hun main har gul ka rang-o-bu
ham-dagh is chaman mein agar hai to lala hai
aae ho ab to duKHtar-e-raz dekhte ho kya
mashrab mein mai-kasho ye tumhaari halala hai
tanha nahin chala hun main 'hatim' butan ke shahr
ham-rah is safar mein mera aah-o-nala hai
Ghazal
Wahshat se har suKHan mera goya ghazala hai
Shaikh Zahuruddin Hatim