اردو हिंदी
Wahshat mein dil kitna kushada karna paDta hai | Shaahi Shayari
wahshat mein dil kitna kushada karna paDta hai

Ghazal

Wahshat mein dil kitna kushada karna paDta hai

Ainuddin Azim

;

wahshat mein dil kitna kushada karna paDta hai
in gili aankhon ko sahra karna paDta hai

mujh ko ek aawaz teri sunne ki koshish mein
kitne sannaTon ka pichha karna paDta hai

tab khulti hai hum par qadr-o-qimat phulon ki
jab kanTon ke sath guzara karna paDta hai

yar baDa ban kar rahna aasan nahin hota
apne aap ko kitna chhoTa karna paDta hai

koh-e-giran hail hota hai jis ke raste mein
ek din us ko tez dhamaka karna paDta hai

apne ghar ki baaten 'azim' ghar tak rakhne mein
diwar-o-dar se samjhauta karna paDta hai