wahshat mein bhi ruKH jaanib-e-sahra na karenge
jab tak ki tumhein shahr mein ruswa na karenge
ghabra gae betabi-e-dil dekh ke ai jaan
Thahro to abhi hijr mein kya kya na karenge
mar jaun to mar jaun bura manen to manen
phir kaise masiha hain jo achchha na karenge
wo husn mein kaamil hain to hum sabr mein yakta
ta umr kabhi zikr bhi un ka na karenge
chhup chhup ke kahenge jo chhupane ke suKHan hain
hum tum se kisi baat ka parda na karenge
badnami se Darte ho abas ishq mein ai 'barq'
kab tak bashar is baat ka charcha na karenge
Ghazal
Wahshat mein bhi ruKH jaanib-e-sahra na karenge
Mirza Raza Barq